======================
phoolo si komal thi jiski kaya,
jivan me jiske andhera tha chaya,
masumiyat jiske chehre se jati thi jhalak
ha ha us pari ka naam tha baby falak.
usne apne jeevan me kya paya,
na mata pita ka sath
or na apno ka saya
bachpan uske liye ban gaya ek abhishap,
garibi or lachari ka bhugta usne dushparinam.
na ma ka use anchal mila ,
na pita ka mila sahara,
or na hi bhai bahan k sath waqt usne gujara,
jane kin lakiro ne uske hatho me ghar tha banaya,
jane kesi taqdeer ne tha uska matha sajaya,
ese jaal me uljhi vo nanhi pari,
aatma jhakjhor de esi vipda us par padi
masumiyat bhare uske chehre par
kar diye hevaniyat k nishan,
sharir par hazaro jakham diye,
har pal nikalti uski jaan.
karhana usne sikh liya tha ,
kilkariyo ki umar me.
har dard apne naam kiya,
bachpan k khel bhool k.
par hosla tha uska buland ,
ladi thi vo jee jaan se.
begano se bhi apno sa pyar mila,
desh videsh se mili duaae thi.
par ek din wo har gai ,
is jivan jaal se.
hevan rupi insan se ,
or uske kiye kam se.
par jaate jaate wo dikha gai ,
hame buraiyo ki shakal.
de gai ek gehri soch ,
ki kesa hoga hamara ka.
kya yu hi bachpan dam tode ga,
majboori or lalach k jaal me.
kya yu hi bikti rahe gi aaurat,
hevano k hath me.